Sri Bhaiji – Bolne ki iccha nai…purva raajg ka pad

bolna bandh chitta ka haran hone par hota hai…hamara cita to bhgo ke dwara haran ho gaya hai par aisi baat dikhti nahi ki boln bandh ho gaya…to yeh baat
nahi hai…woh haran dusra hai…jab kabhi jis kisi ke jivan mein oos ke dwara citta haran kiya jata hai woh phir laut kar nahi aata..jab tak citta lautta
hai kisi vastu ko prapt kark tab tak oos vastu ooska paryavushan nahi hoti…namak example jisis kisi milta hai, vilin ho jata hai..swad de deta hai…par
scientist ne bataya ki woh sukha kjar nikala jata hai…yaha to woh chitta achitta ho kar kisi ka chitta ban jata hai…ya to kisi ka chitta is ko achitta
karke oosi ke dwara pragat ho jata hai…
milan ke purva ka prasang hota hai oose shastra kehta hai – purva-rag….oosi vishay ka ek pad sunaya tha natwar ji ne abhi…
jo man mein aata hai woh bol nahi sakte,,,sunene wala mandal kaisa hai oosi prakar oska manoranjan krne ki vasna prgata ho jati hai aur woh vasna asliyat ko
dhak deti hai…is liye jo vastu achintya hai woh chitta mein nahi aati..jo vastu nirvachaniya hai woh chitta mein aakar bhi kahi nahi jati..jo vastu jitni
kahi jati hai utni aneko prakar se thik sochne se nahi kahi ja sakti…oos prakar woh anirvachaniya rahays hai ooska uthghatan nahi ho sakta ….achinta ka
chintan nahi ho sakta to nirvachan ka kaisa ho,..nirvavachn to bhasa se hota hai aur man ki bhasa nahi hoti …is liya sbhado ke dwara nirvachan nahi ho
sakta…yadi man se pare koi chiz ho ooska nirvacan kaisa ho…sirf bahya sanket hota hai…oosme bhay ek bada hota hai shabdo ka…for eg ved mein kam shabd
aata aha…ooska uccharan kare to vibhinna arth samaaj kar sakte hai…bolne wala bhi dhongi ho sakta hai aur sunne wala bhi anarth kar sakta
hai…taskaranam pataye namaha…choro ke sardar ko nasmakar…par bhagavan ko chor kaha jaaye…to ooska arth anek prakar ka ho sakta hai…unho ne chori ki
to hum kyu na karu..unho ne makhan churaya to hum rupiya chraiye…is liys is vishay ki vastu lokalay mein pragat nahi karne ki hoti..woh apni vastu apne
liye hoti hai…is liye ani vastu apne liye hai, woh achi hai ya buri ooska dayitya apne aupar hai…yadi woh pracharak hota hai apni vastu ka to samaj ke
samney dena padata hai…to lok ranhjan ke liye hua to chiz bigad jati hai..is liye bahut samaj soch kar mahatma log ne is par kaha hai…
hum log ka nana prakar ke aparadho se purna jivan hai…hum log iske kehne ke adhikari nahi..jo adhikari hai we log bahut vichar ke sath keh sakte hai..jaha
vichar karne ki bhavana huyi waha ras ka strot bandh ho gaya…isi liye vaishnav santo ne aisa kaha hai ki prem mein gyan nahi rehta…to kya whah agyan
hai..jaha par jagat ke bhgo ki baat kya hai…divya bhogo ka parityag hai..sarva dukh ki kya baat sarva sukh swarup kaivalyia ka tiraskar waha kya agyan hai,
bandhan hai…parantu bandhan na hone , agyan na hone par bhi bolne wale ko gyan purvak bolna padta hai is liye waha boli bandh ho jati hai…whaha boli hoti
hai kahi kahi par aasu ki boli hoti hai, hriday ki boli, dhahkan ki boli, murcha ki boli , hriday ki boli hoti hai..is marhg ka yatri…bada kathin path hota
hai par badi sundar chiz hoti hai priytama ki mruti aur sukh,.woh sukh dukho ko bhula kar priatatam ki aur akarshan kare..
ek bar K upar kahi muli baja rahe the…waha chaya thi..madhyan ka samay, grihma ritu, prakhand surya ka taap…RR ke sneh ki yaad huyi..milan ki akanksha
paida huyi..waha raste mein kch jalti huyi pashan the, jalte huya pathar hai…sarva pthar jal uthe the surya ki kiran se…par oos jalne ke aur RR ki
kalpana gayi?…koi anubhav huya?..kya oos pair ki jalan ne unko roka?, rok saki woh jahaln?, nahi, woh chali aur woh pairo ko bachate huye nahi
chali…dauti huyi chali…apne pairo ko bachane ke liye nahi…drit gati se gayi K ke pas.. pachuch gayi..jaha is marg mein pravesh hai waha pehle ye baat
samaj leni chahiye…jisko apne sarvasva mante hai, jo hamara aati prya yogkshem hai, jiski prapti chahte hai, jiske prpat huya bina apne ko abhaga mante
hai…jis ko prapt hone par bhagavan ki badi kripa mante hai…osse srava ko jala kar, jala kar khak kar dena hoga oos aag mein…oos aag mein jala ke khak
kar dena padea…jale huye sarvasva ke rakh par jo nach sakega woh is marh men aa sake hai…
hari no marga che shura no…nahi kayar nu kaam jo ne
yaha to pratikshan dena hai..dena hai, aur dena hai..kya?…dekar ab ye abhiman karte hai wo dena nahi kahridna hua..wo hum dekar badle mein naam,swarg
parpti, kirti pa le, bhagavn ko paye ye sab to adan pradan hai, len den hai..vyapar hai…is mein dena kaha…ye sauda hai…adhik le liye ya thag liye kam
dekar adhik le kar…thag lie..ye …ye vyapar hai.. yaha apne aap ko hi de do..to amruttva ka starto nitkaleha…ek mahatma ne kaha – prem pavak jwala,
bhadi pacha bhage jone, mahi padya maharamane, dekhna ra jale jone…ye prem path aag ki lapat hai…is ko dekh kar to log waha se bhag jaata hai..yaha to
sarvasva jalana padta hai..lekin os me jo kud padte hai…unko mahan shant ras , sudha ras pratpo hota hai aur dur se dekhne wale jala karte hai…vichitr
baat…aag mein kud ne wale shant shital ras prapt karte hai aur dekhe wale jalte hai..ye path saral bahut hai kyoki prem bhagavan ka rup hau aur bhagavan ki
badi krupa hai, dayalu hai..yadyapi prem daya naih chahta, prem yadi dyaya chah le to prem din ho jaaye, premi din nahi hote, daata hai..bhagavan ko bhi deta
hai, K bhi lalalyt rehte hai lene ko prem ko…akam bhagavan kamvan ban jate hai…yogmaya samavritta…woh hum log…yog maya se hamare liye K dhake
hai…yaha bhagavan ke liye swayam yog maya to natya ka rang mach taiyar karne wali devi hai..aur yaha par bhagavan man ka nirman karte hai, kamna ki purti
ke liye..man banate hai bhagavan..is liye Sukhdevji maharaj pehle bole sri raas ke arambh mein…bhagavan apit ratrihi..bhagavan pehle bole sukdev
goswami…kisi ko K ki kripa se ye dristi prapt hoti hai aur jante hai ras panchadyay mein kya hai…ye kya kaam katha hai?…kuch logo ne hum jaise
anadhikari ko samkjen ke liy kaha ha ye kaam vijay hai…par jaha kaam ka pravesh nahi waha kaam ka vijay kaise…dur se jal jata hai moksha kaam bhi..wahah
kaam vijay kaisa?…yaha prem ras prvah hai..yaha brahma shant nahi…nachnewala, ucchalit brahma, uchalit anand, gane wale brahma hai…andar shant
hai…prasahnt mahasagar..upar hillole uthtai hai…par tal shnat hai…tal mein lehre nahi..to leher aur shant ye saath chalta hai..isi parkar bhagavan ka
yeh prem lila utsav nitya chal raha hai..isi ka naam raas hai…is men aasvadak, asvadan aur asvadya bhi ek hi hai – bhagavan…tina ek hi tatva bane rehte
hai..yaha kaam nahi, yaha ye jagat nahi…par jab bhasa mein jab explain karne jayengey to artha ka anarth ho sakta hai is liye ye vishay lene ka nahi
to purvaraag ki chiz….raj niti par bahut bola, samaj par bole, bomb banane par bhi bola..parantu, isi ne mere man ko har liya (Sri Bhaiji thodi der shant
ho gaye, gadgad ho gaye, phir thadas bandh kar bole)…Sri jiv dayal ji ki muj par badi kripa hai…burai to bhari hai par is samay jo bolta chalta hu likhta
hu ye sri jiv dayalji se baadhya ho kar..maine chutti mangi thi aur woh chutti de dete to apke samne yaha nahi baith hota…unki kripa kaam karti hai….hum
kyu apni akal lagave…
pad jo abhi gaya ooska bhav keh deta hu….jo isko na samje woh kshama kare ki aapka samay vyarth kiya,,,jo oose ulta samje woh muje khsma karte
chale…sidha samje, sidha chale aur ras le sake to ras mil sakta hai…pad ye hai
Sri RR ne ya kisi sri gopangna ne…ek gopangana nebhagavan ko dekha…dur se dekha..aur samip se bhi dekah, kshan bhar, thik dekha…hum log thik nahi
dekhta…dilruba ka didar wah to keh (kahar) ka didar hai…jisne jhankh liye woh is taraf nahi rehta.. gaya…jisen dekha apne aap ko kho baitha…ras kan
dekha..unka jivan vishay lubdha tha..vishay unmat tha jivan…dekha , jhanki samne aa gayi…gwal bal ke rup mein…apne aap ko jab tak kho na de…tak tak
dekha nahi…herat herat he sakhi, herat ho herai…jab tak dhunde wala dhund raha hai..doondh raha hai…par milne par kho jata hgai. dekh ne par kya dasha
huyi….pata nahi kuch rat diwas ka, pata nahji kab sandhya bhor, jagater sapwna dikhayi deta shayam sada mera chitchoir…ab pata nahi kab rat aati hai kab
din hota hai…subha shan kab hoti hai…pata nahi rehta jaagte sone ka, hardam har samay chitt ko chura lene wale shyam sundar samen dikh padte hai…bhul
gayi mein nam dham sab, bhol gayi hu main kaun..jab dekha ye dasha huyi…shyam sundar ke nain kataksh pade..jaha woh netra nache shyam sundar ke, nachte hi.
pran man haran kar liye gaye…kisne haran kiya…woh jo khada huva tha maun, muskura raha tha…naine nacha kar pran harna khada hai sada dhar kar
maun…kaise madhur murti, wah kaisa tha vichitra man hari rupaan, ke jur rahi, jharti ye, karti sundar rup…beh raha hai pravah oos anupam sundarya ki
smruti se…kiya chur sara abhiman, lok laj kul kaam mite sab, raha nahi nij ka dhayn…lajja, abhiman ka rup hai…kul ki parampara chod di, dharmi ka dharm
chura liya gaya…kiya chur sara abhiman…sadhna, gyan, dhan, bhakti, gyan sab sadhan abhiman chur kiya…lok laj kul lj, kaam ki sab chur, raha na nij par
ka bhan, kaun paryaa kaun apne mit gaya…vichar raha kalinidi kul…yamuna ke kniare woh kaisa chandravadan sudhamay amrit paripurna vichar raha tha..oosne
kya kiya…har sarvasva bandh sab toda, mita sabe maryada pul..jab nadi mein baadh ati hai, kinari tut jati hai…na maryada sima nahi rehti, aur sarvasva
har ke le jata hai baadh ka jal…oos rup rashi hriday mein ras ki baadh laga li….ab kya dasha hai…keh rahi hai…mansa mila rehte hai sada nitya prtiam
ke ang, nahi chutta kabhi sada rehta shyam ka sang…ek bar dikhe par hua…to puch sakte hai ki par kya dikhne ke baad hate?…hame dikhte nahi, par jo ek
baar dikh jaaye to dhikhne ke bad hatana sambhav nahi…nitya ab nirtantar sang bana rahte…rasik ras ke samudra ka sab ras pakar,,,oska koi orchor
nahi..mein ras mayi ho gayi… aur beh chali osme se sudha sarita…bahi…plavit kar sab raha na choor..sabko baha ke le chali ye ras dhara, khai par kinara
nahi bacha…shyam rahw ya rahi main kahi, kuch bhi raha nahi..na main rahi ya shyam sundar raha, ooska pata nahi…shyam bane mein, shyam bani mein…..ek
mek ho rahe hum, ye prem samadhi hai..is mein yeh chiz hai ki bhagavan ki milnot-kantha manusya ke man jab jagrit hoti hai tab ye bandhan rehte nahi..bandhte
wahi tak jaaha tak ye bandhan hame sukh ki pratiti karate hai…ye hamare bandhe huye aropit bandhan hai..inka bhagavan mei kahi par astitva nahi hai…woh
nitya mutka hai..hamare andar bhi bandhan nahi par humne nitya sambhand bhula diya Krsna ke sath is liye ye bandhanm aa gaye..jaha par sambhadh huva to
bandhan tut jayenge…todna nehi padta…prem me kinare ko todnanahi..oos baadh mein begh jata hai kinara…rehte nahi..jaha par kinara nahi..waha kinare ki
chiz kaha rehei..jagat ki gandaki kaha renhegey…kam krodh dambh lobh kaha rehengey ..koi stan hi nahi…is ka bad badi sundar dev durlabh akankshaye bhi
beh jati hai…sab gatiya bhi beh jati hai…reh jate hai keval Shyam sundaraur reh jati have keval Shyam Sundar ki sukh seva…bas…K kehte hai – mere jo
jan hai weh 5 parkar ki mukti ke dene par bhi swikar nahi karte kyoki unhe seva chahiye mukti nahi…bhagavat seva prayan…jo vastavik purus hai kay woh
mutk nahi hai? kya jagat ke bandhan huye hai? jise bandha hai uska bar bar jagat ki smruti hogi…ooski smruti seva main vighna karak hai,,,seva karne par
muje kya milega ye dekhne wala baniuya hai premi nahi…vyapari hai…saudagar hai…ooska pas mahobbat ka bij nahi..jaha prem vastavik waha yeh vyapar nahi
hota, bandhan nahi rehta…waha phir kya rehta hai…Shyam Sundar ka mukharvind ka bandhan rehta hai..mukti to oske charano se jharti rehti..abto bandhan
moksh ki iccha vyakul kabhi nahi karti …mukhda hi nitya nav bandhan, mukti charan se jahrti hai….parantu, sabse badi chiz ye oos me hai…jiske bine iska
pravesh nahi hoti…swa sukh ki iccha ka praityag…hum log vayapar karte hai padhate hai…college, shikhsa etc…udeshya kya hai..arth ki jarurat
hai..artho-utpadatan kari vidya honie chchiye, arth ke liye sari yojna hai…par jaha brmbha ki prapti ke liye acharan ho woh brahmachari..to sva sukh ki
indriya bhog ki, anukal sthiti prapti ka pravesh is prem rajya mein nahi hai..isi liye sri gopi ka, Sri Radha Rani ka sarvoch sthan hai..jahan unki satta
prityatam ki sukh satta mein vilin kar di gayi…Krsna ne kaha uddhav se,,,asu aa gaye Krsna ki aankh mein, uddhav se kaha ki tum javo…rahasyamay shabda
kahe..Sri Radharani, Sri Gopijan ka swaryup ko bataya3 shabdo mein…ta man masaaa…mere man se manasvi hai..unke pas apna man nahi, mera man unka mam ban
kar kam karta hai…kya jivit rehti hai?..nahi, mat praanaa, mere prana se pran hai…jivit nahi..madrathe, tyakta dehika..ghar ka kam tyag kar shyam sundar
jaise nachate hai vaise nachiti hai..ye Krsna ne ishara kiya sanketik bhasa mein ki unka swarup samje…man de diya, pran de diya…dene mein abhiman nahi…

– Sri Bhaiji, sthan Calcutta

Comments are closed.